Monday, April 23, 2007

WHAT IS THIS GOD?



god ne parai kyon banai
zaroor apni biwi so ho gayi hogi larai
ek aadh chemical kam banata to uska kya jata?
chemistry kuch to samazh mein aata

jitne bana sakta tha bana diye usne
ab to dimag mein bhi laga hai ghusne

uske liye sone par suhaga
muzhe hi rehna tha abhaga
ek chemical rxn hazar
jaise laga ho machli bazar

khud to baithe rehtein hain aale mein
thund nahi lagti hai pale mein
bhagwan chemistry yon banai
humein roz ladni parti hai larai

roz subha bhog hai lagta
phir bhagwan kyon nahi hai hagta
khate ho to agna to cheiye
chemistry banayi hai to parna to chaiye

gita mein hai sab kuch
kya sach muuch?
bazar meinaati hai with naye luk
us se moti hai hamare course ki book

krishan ko sab kuch hai aata
to chemistry parne kyon nahi jata
lagta to nahi wo bhi hai usko aata

waise chemistry kaun se bhagwan ne hai banayi?
yeh baat mere samazh mein nahi aayi
aur vedon mein bhi nahi batayi

ab aayi hai string theory
kya ye wahi string hai jis se bani bori hai?
bye ab chalta hun
ja kar sir par fatty acid malta hun!

i wanna fight


i wanna fight
kill all enemies still in sight
halat abhi hai tight
kyonki raat ko chali gayi thi light

kal raat socha tha mar jaoon
ab is jivan se barh jaoon
magar girte hain sehsavar hi maidane jung mein
kya maza hai nobel prize ka lena kisi ke sang mein

ab mein jeeunga
shayad khun ke gooth piunga
tap ke banta hai sona khara
kya farak parega agar kisi ko agar mein mara

raat ko soya nahi
aieee ki parai kar raha tha
apni language mein para para sar raha tha
ab mein orkutting chorunga
tabhi to aieee phorunga

raat ko khatam kiya ocygen 1
ab ho gaya hai ekdum done
lagta hai kaam jayega ban

inorganic imp nahi hai
bus yahi kam sahi hai
physics pehle se muzhe hai aata
maths mein kam hai ban jata

chemistry karunga strong
nahi karunga wrong
shayad ab nahi likh paunga
magar 29th ke badh laut ke aunga
phir aur kahan jaunga?
apne doston ko yahi paunga
khaunga piunga so jaunga

Sunday, April 22, 2007

i wanna die

(this is a bit serious 1 and i think it represents me rit now )

i wanna die
say to this world b bye
jivan ka har pal kehta hai
pata nahi ye khun kyon behta hai?
kab tak rahoonga ye sab kuch sehta

aaj jine ka man nahi hai karta
sab hi kyon mein kyon nahi marta
apne aap se kab tak rehoonga mein yun darta
aishta se kabhi maut aaye
gheri neend mein muzhe sulaae
marne ka entzar karta hun
shayaad apne aap se zada baki sab se darat hun

sab kehte hain tum ho gaye ho pagal
agar apne time se jagta aur sota hun
pata nahi mein kya khota hun?
meri har baat lagti hai sab ko buri ab
yeh kehtein hain sab

apas mein pyar nahi hai
aur dusron ki baat karte hain
roz muzhe chor kar pata nahi kitne log marte hain?
kabhi lagta ye pyar nahi dikhawa hai
kya zindagi ek behkava hai?
parai par aakar sab kuch kyon hai atakta?
es bari si duniyan mein mein hun bhatakta

apne raste chunna galat to nahi
ab tak lagta tha muzhe yehi

abkya pata mein kahan jaunga?
aur apni ghatiya zindgi mein kya paunga
jine ki eccha to nahi hai par jina parta hai
marne ke bad sharir sabka akarta hai
tab to apne hisab se sounga
aaj akela rota hun
kal sab ko rulaunga

kya iit hi hai ultimate aim?
pata nahi kaun khelraha hai ye game
sab kehte hain janvar hn mein jungle ka
ya vasi hun mangal ka

mein akela baith kar raha tha ro
aur party karne gaye the sab wo
iit nahi karne ka sbkuch hai asar
abhi nikal lo bachi hui kasar

thore din bad to mar jaunga
shayad jalunga ya sar jaunga

actually i wanna die
abd say to this fkin world b bye

my frnds part 1

ashish hai sabse jada para
tabhi to iit ki daur mein sabse aaga hai khara

kanchan ko solutions dekh kar laga jhatka
aur uska dimag satka
aieee par ja kar atka

mannu ke samne hai samsya vikat
kata nahi raha hai ghar ka ticket

shubhankar hai sala phoru sala
roz hai mannu ke sath orkut par aala
chemistry ne lagayi hai iske bhi wat
pata nahi kitno ki khara karegi khat

bakiyon ke bare mein bataunga kal
abhi kar ke aata hun mal

sleeples nits

neend nahi aati hai raton ko
boriyat ho gayi hai baton se baton ko
organic karni thi complete
kyon para rahein hain jab ho gayi hai abselete

bhor atom hai nahi
kyon oara rahe hain pata nahi
aieee ke liye parta hun
para sarta hun
sarna bhi ek kala hai
jaise angur ek bala hai
wine banta hai marte marte
mein pee ja ta hun darte darte

aieee ke liye ek afta hai
halat bahut khasta hai
ladki ka khayal dil mein basta hai

abhi dost ki gf se batein kar raha tha
socha meri bhi ho
muzhe hoga garv
jab naam legi parv

dekha aieee phir bhul gaya
phansi par phir jhul gaya
vaise zindagi bhi hai nark jaisi
kitabein parni parti hain kaise kaise
koi accha coll na mile
to dimag kehta hai thora aur bad mein je le
teen sal se yehi sunta aa raha huun
aur aise hi kavitayein ga raha hun

dimag ko lag gaya hai tala
aur orkut ka hai bolbala

Friday, April 20, 2007

totaly ilogicl

(idont know why i wrote this poem its totally illogical so dont search for logic in it just hav fun ok?)

sali aadhi gharwali
usko le gaya mali
samne tha saand
mehndi di gayi thi mand
sali ghabrayi
mali laya dudh malayi
nayi kamiz silyayi
free mein aaya halwayi
us se rabri banwayi
jo ki thi sali ne khayi

nasa ka naya yan
nahi milte usmein pakwan
kamle jana hota hai saman
congress ki youth kaman

pahuncha jab mars par
dikha alien ka sar
nahi paar paye magar
ghume dar dar

suna smoking sehat ke liye hai bura
par yahan to sundri ke sath hai sura
jaldi nikal lo chura
kyunki mein hun thora dara dara

i dont study
kehtein sab buddy
pani hai muddy

kar do muzhe bari
sari mein hai zari
fish pari hui hai mari
aadhi zamin mein gari
usko pani mein dalo
zara situation ko samhalo
horse ki si rakho chal
taki bad mein na ho malal

iit jee remains a dream

karna tha jee
par ar diya pee
brain mera satka
chemistry ne diya phatka
rimmer-tiemman gaya bhul
ho gaya sab dhul -dhul

physics ne diya sath
vahi purana helping hath
maths bhi nikal gaya
chemistry mein phisal gaya

sala cbse based paper diya
planning ka kura kiya
crystal dil tha ho gaya chur
sab lagne lage humein ghur
pehle aasha thi ab nirasha hai
aur na hi sath mein vipasha hai

physica mein sau
maths mein sattar
aur chemistry mein halat bad se badttar

aieee par atkunga
pata nahi kaun se payedan par ja kar latkunga
halat hai kathor
par ye dil mange more more more ...........

do u believe in marrige?



आज दिल में है आशा
या है निराशा?
असल में आशा ही निराशा है....

लडकी का नाम आशा है
और उसकी वजह से निराशा है!
जाने दो यारों क्या आशा क्या निराशा जब साथ में नो विपाशा

करो उसको kiss
और मेघा को करो मिस
मिस से करो मिसेज़
और उस से बनवाओ दिशेस

अब विधवा ना हो जाये वो
इससे पहले कर लो जो
अखिर करते हैं सब
साथ देगा तुम्हारा रब

बरिया सा एक रबड़ लाओ
शादी से नाम मिटाओ

कहते हैं कौन देगा बुरापे में साथ
जब कोई ना हो साथ तब अपना हाथ जगन्नाथ
मरते मरते सोचेंगे
क्या हमने जिया क्या तुमने जिया
सालों शादी करके भी dew ही पिया?
end mein
shadi hai barbadi
aur isse barti hai aabadi