Monday, April 23, 2007

WHAT IS THIS GOD?



god ne parai kyon banai
zaroor apni biwi so ho gayi hogi larai
ek aadh chemical kam banata to uska kya jata?
chemistry kuch to samazh mein aata

jitne bana sakta tha bana diye usne
ab to dimag mein bhi laga hai ghusne

uske liye sone par suhaga
muzhe hi rehna tha abhaga
ek chemical rxn hazar
jaise laga ho machli bazar

khud to baithe rehtein hain aale mein
thund nahi lagti hai pale mein
bhagwan chemistry yon banai
humein roz ladni parti hai larai

roz subha bhog hai lagta
phir bhagwan kyon nahi hai hagta
khate ho to agna to cheiye
chemistry banayi hai to parna to chaiye

gita mein hai sab kuch
kya sach muuch?
bazar meinaati hai with naye luk
us se moti hai hamare course ki book

krishan ko sab kuch hai aata
to chemistry parne kyon nahi jata
lagta to nahi wo bhi hai usko aata

waise chemistry kaun se bhagwan ne hai banayi?
yeh baat mere samazh mein nahi aayi
aur vedon mein bhi nahi batayi

ab aayi hai string theory
kya ye wahi string hai jis se bani bori hai?
bye ab chalta hun
ja kar sir par fatty acid malta hun!

1 comment:

Unknown said...

welcome to the world of parv .bole to jakkas hai.pado aur paado ,bas khus raho