Tuesday, May 01, 2007

i think i really wanna die but why?

beh raha hai lahu
ye dard mein kaise sahun
kuch karne ka man karat hai
aaj marne ka man karta hai

sab hai yahan
rote hansete gate
aate jate
yehi to hai locha
kyon hain wo hain yahan kya kisi ne socha?

yeh duniya hai choti
par hai bahut khoti
soch ke "kya khona kya pana"
faltu mein khilkihlana

muzhe hai kuch pana
jita nahi hun sirf khane ke liye khana
par yeh uska julm hai ke ab muzhe hai jana
agar yeh hai pana to khona kya hai
yeh soch kar rona kya hai

pyar mein dhoka
zindagi hai khali khoka
aap batao ab kya karun
ab jiyun ya marun

kisi aur se ya apne aap se hi jarun
raton ko sota nahi
darta hun par khota nahi
kabhi kisi ke samne rota nahi

kyon mein sota nahi
yeh bozh muzhe se saha nahi jata
ji to raha hun par raha nahi jata

khun to har mein hai behta
kitne nason ke bhandan hai wo sehta
kyon na kabhi aaye wo sath mein thora wakt bitayen
aur phir is duniya se jayen

pata nahi kyun the aaye
aur pata nahi kyun jaye
pata nahi pata kya hai
kyun jaye tumhare liye hum hamari khata kya hai?

mila tha tumse kabhi
kehten hain sabhi
mere sapnon mein to roz aati ho tum
ab to herdum sona hai
tumhein kya pana kya khona hai
kabhi to aaogi wahan par tum bhi
pyar karne walon ka wahi ek thikana hai

6 comments:

Unknown said...

kya mast poem hai yaar....tu to bahut sudhar gaya hai bhai....ekdum shayar ho gaya hai.....itni sentimental baatein kaise kar le raha hai be.....lagta hai teri bhi book publish hone waali hai 1-2 saalon mein....keep it up dude..

Unknown said...

mehkhane me jam tut jate hain,ishq me dil tut jate hain
na jaane kya rishta hai in dono ka,jam tute to ishq yaad ata hai dil tute to jamyaad aata hai

Unknown said...

Meri Ankhoon Sai Kabhi Utroo Dil Main,
Kai Main Dhadkan Main Basa Lon Tum Ko,
Jaan Sai Barh Kar Chahon Tumhain,
Apni Zindagi Hi Banna Loon Tum Ko,
Maray Khabon Main Sirf Tum Hi Baso,
Apni Neendon Main Saja Loon Tum Ko,
Loogon Ki Bhir Main Kho Na Jao Kahin,
Zamanay Sai Chalo Main Chura Lon Tum Ko,
Meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari,
Gar Ijazat Ho Tu Yadon Main Bula Lon Tum Ko

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,


Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata

Unknown said...

welcome to the worlg of parv .pado aur paado bas kush raho