Thursday, May 03, 2007

i love to see u cry and then die


kwahishon ki kami ha thi
man mein sami na thi
samay bhi kam na tha
aur na hi mera mann na tha

tor diya sab tumne
jine ka rukh mor diya tumne
chahat koi bachi na hai ab
hasein to hasein sab

dekha tumhein to laga sapna
jo hai sirf apna
na so paye
na ro paye
aankhon mein the tum jab jage
jayein to jayein kahan kahan bhagein
dikhai bhi nahi deta ab to aage

maut ke pas khara
apne jine ke liye lara
aakhir tumne mere liye kya hai kara
pata nahi parega tumhein mein jiya ya mara

ab bhi kwahish hai teri
shayad yehi wafa hai meri
teri jagah na aur koi ayegaye
man tuzhe na kabhi bhula payega

yeh dard kabhi to tuzhe bhi parega sehna
nahi tha mein jo utar diya tune ek gehna
ghamand ko to hai ek din dehna

koi na hoga tere pas
jab hogi tuzhe kisi ki aas
jine ki hogi tuzhe pyas
par ji na payegi
teri maut tuzhe bahut rulayegi
us din chahe khun ke ghut piyunga
par mein jiyunga

No comments: