Sunday, May 13, 2007

without a helmet

aaj gaya tha ghumne
nahi gaya tha kisi ko chumne
kyon muzhe pakar liya
apne gande haton mein jakar liya
nahi irada tha ek
na hi the ve nek
gari ki nikal li chabi
jaise bhaga raha hun uski bhabhi
chala raha tha gari
lene ja raha tha sari
samay tha kafi
magar mangni pari mafi
light thi red
mein ho gaya slow dead
yeh police kya chez hai
jaise gandi kamiz hai
laya paper kar diya chalan
sala tha haivan
bike mein nahi thi jagah
paper nahi the is vajah
rakh li chabi
pata nahi kime hain uske bhabhi
paisa mang raha tha bahut
sarashakal se lag raha tha aawara
yeh nahi tha muzhe ko gawanra
meine kari request
kaha uncle tha mera test
aaj ki hai date
ho gaya hun mein late
usne dikhai ankhen
dikh gayein salakhien
paisa le gaya tha sala thag
phir muzhe se kaha ab tu bhaga
a gaya mein ghar
man mar kar

jal


pehle man jala

phir jivan jala

ant mein hai tan jala

jab jaljala

tab sab jala

kya jal kya nirjala

tuzhe sang dekh kar log jale

agni mein hai bhog jale

tera jivan strrot jale

Thursday, May 10, 2007

u will die with me!


dard ki rah mein
dard ki chah mein
dard se mein marta hun
tuzhe se ishq mein karta hun

maut ki raah mein
maut ki chah mein
markar bhi na mar saka
chah kar bhi na barh saka

jab hum sath the
hathon mein hath the
alag khayalat the
tab mra tha tum par
ab daya karta hun
kya halat hai marne ki bat karta hun

shayad naa hi hi hum se accha
aur naa hi muzh se saccha
tuzhe koi mille
kabhi to bayan karti koi agar hain shikwe-gille

kahan tha kahan se aaya
koi aur sathi na meine paya
mera saya muzhe se bhaga
itni raton ko mein tanha jaga

shayad yehi khushi hai teri
muzhe maut mille meri
phir ab tuzhe kis bat ka gam
bahut pehle hi mar gaye the hum

ab to sath mil payenge tere marne par
aur mere kuch karne par
marna to tuzhe mere haton parega
par meri tarah nahi tera shav sarega
kyonki us mein kire nahi lagenge
teri khun ki bewafai se darenge

Thursday, May 03, 2007

i love to see u cry and then die


kwahishon ki kami ha thi
man mein sami na thi
samay bhi kam na tha
aur na hi mera mann na tha

tor diya sab tumne
jine ka rukh mor diya tumne
chahat koi bachi na hai ab
hasein to hasein sab

dekha tumhein to laga sapna
jo hai sirf apna
na so paye
na ro paye
aankhon mein the tum jab jage
jayein to jayein kahan kahan bhagein
dikhai bhi nahi deta ab to aage

maut ke pas khara
apne jine ke liye lara
aakhir tumne mere liye kya hai kara
pata nahi parega tumhein mein jiya ya mara

ab bhi kwahish hai teri
shayad yehi wafa hai meri
teri jagah na aur koi ayegaye
man tuzhe na kabhi bhula payega

yeh dard kabhi to tuzhe bhi parega sehna
nahi tha mein jo utar diya tune ek gehna
ghamand ko to hai ek din dehna

koi na hoga tere pas
jab hogi tuzhe kisi ki aas
jine ki hogi tuzhe pyas
par ji na payegi
teri maut tuzhe bahut rulayegi
us din chahe khun ke ghut piyunga
par mein jiyunga

Tuesday, May 01, 2007

doorie sahi jaye na




(this poem is not mine but i found it 2 sexy to keep it out)

Meri Ankhoon Sai Kabhi Utroo Dil Main,
Kai Main Dhadkan Main Basa Lon Tum Ko,
Jaan Sai Barh Kar Chahon Tumhain,
Apni Zindagi Hi Banna Loon Tum Ko,
Maray Khabon Main Sirf Tum Hi Baso,
Apni Neendon Main Saja Loon Tum Ko,
Loogon Ki Bhir Main Kho Na Jao Kahin,
Zamanay Sai Chalo Main Chura Lon Tum Ko,
Meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari,
Gar Ijazat Ho Tu Yadon Main Bula Lon Tum Ko

i think i really wanna die but why?

beh raha hai lahu
ye dard mein kaise sahun
kuch karne ka man karat hai
aaj marne ka man karta hai

sab hai yahan
rote hansete gate
aate jate
yehi to hai locha
kyon hain wo hain yahan kya kisi ne socha?

yeh duniya hai choti
par hai bahut khoti
soch ke "kya khona kya pana"
faltu mein khilkihlana

muzhe hai kuch pana
jita nahi hun sirf khane ke liye khana
par yeh uska julm hai ke ab muzhe hai jana
agar yeh hai pana to khona kya hai
yeh soch kar rona kya hai

pyar mein dhoka
zindagi hai khali khoka
aap batao ab kya karun
ab jiyun ya marun

kisi aur se ya apne aap se hi jarun
raton ko sota nahi
darta hun par khota nahi
kabhi kisi ke samne rota nahi

kyon mein sota nahi
yeh bozh muzhe se saha nahi jata
ji to raha hun par raha nahi jata

khun to har mein hai behta
kitne nason ke bhandan hai wo sehta
kyon na kabhi aaye wo sath mein thora wakt bitayen
aur phir is duniya se jayen

pata nahi kyun the aaye
aur pata nahi kyun jaye
pata nahi pata kya hai
kyun jaye tumhare liye hum hamari khata kya hai?

mila tha tumse kabhi
kehten hain sabhi
mere sapnon mein to roz aati ho tum
ab to herdum sona hai
tumhein kya pana kya khona hai
kabhi to aaogi wahan par tum bhi
pyar karne walon ka wahi ek thikana hai