Friday, April 20, 2007

iit jee remains a dream

karna tha jee
par ar diya pee
brain mera satka
chemistry ne diya phatka
rimmer-tiemman gaya bhul
ho gaya sab dhul -dhul

physics ne diya sath
vahi purana helping hath
maths bhi nikal gaya
chemistry mein phisal gaya

sala cbse based paper diya
planning ka kura kiya
crystal dil tha ho gaya chur
sab lagne lage humein ghur
pehle aasha thi ab nirasha hai
aur na hi sath mein vipasha hai

physica mein sau
maths mein sattar
aur chemistry mein halat bad se badttar

aieee par atkunga
pata nahi kaun se payedan par ja kar latkunga
halat hai kathor
par ye dil mange more more more ...........

3 comments:

piyush said...

aise hi likhte raho... this poem also describes my situation...

Unknown said...

Kya mast poem likhi hai.....
I never knew of this art of my frnd.....its describing situation of many of us

srijeet said...

sahi hai yaar........
purani baatein yaad aa gayi........