Showing posts with label aieee. Show all posts
Showing posts with label aieee. Show all posts

Monday, April 23, 2007

i wanna fight


i wanna fight
kill all enemies still in sight
halat abhi hai tight
kyonki raat ko chali gayi thi light

kal raat socha tha mar jaoon
ab is jivan se barh jaoon
magar girte hain sehsavar hi maidane jung mein
kya maza hai nobel prize ka lena kisi ke sang mein

ab mein jeeunga
shayad khun ke gooth piunga
tap ke banta hai sona khara
kya farak parega agar kisi ko agar mein mara

raat ko soya nahi
aieee ki parai kar raha tha
apni language mein para para sar raha tha
ab mein orkutting chorunga
tabhi to aieee phorunga

raat ko khatam kiya ocygen 1
ab ho gaya hai ekdum done
lagta hai kaam jayega ban

inorganic imp nahi hai
bus yahi kam sahi hai
physics pehle se muzhe hai aata
maths mein kam hai ban jata

chemistry karunga strong
nahi karunga wrong
shayad ab nahi likh paunga
magar 29th ke badh laut ke aunga
phir aur kahan jaunga?
apne doston ko yahi paunga
khaunga piunga so jaunga

Sunday, April 22, 2007

my frnds part 1

ashish hai sabse jada para
tabhi to iit ki daur mein sabse aaga hai khara

kanchan ko solutions dekh kar laga jhatka
aur uska dimag satka
aieee par ja kar atka

mannu ke samne hai samsya vikat
kata nahi raha hai ghar ka ticket

shubhankar hai sala phoru sala
roz hai mannu ke sath orkut par aala
chemistry ne lagayi hai iske bhi wat
pata nahi kitno ki khara karegi khat

bakiyon ke bare mein bataunga kal
abhi kar ke aata hun mal

sleeples nits

neend nahi aati hai raton ko
boriyat ho gayi hai baton se baton ko
organic karni thi complete
kyon para rahein hain jab ho gayi hai abselete

bhor atom hai nahi
kyon oara rahe hain pata nahi
aieee ke liye parta hun
para sarta hun
sarna bhi ek kala hai
jaise angur ek bala hai
wine banta hai marte marte
mein pee ja ta hun darte darte

aieee ke liye ek afta hai
halat bahut khasta hai
ladki ka khayal dil mein basta hai

abhi dost ki gf se batein kar raha tha
socha meri bhi ho
muzhe hoga garv
jab naam legi parv

dekha aieee phir bhul gaya
phansi par phir jhul gaya
vaise zindagi bhi hai nark jaisi
kitabein parni parti hain kaise kaise
koi accha coll na mile
to dimag kehta hai thora aur bad mein je le
teen sal se yehi sunta aa raha huun
aur aise hi kavitayein ga raha hun

dimag ko lag gaya hai tala
aur orkut ka hai bolbala