Friday, July 27, 2007

Safar me muskeelen aayen to zurrat aur badhati hai

Safar me muskeelen aayen to zurrat aur badhati hai,

Koi jab rasta roke to himmat aur badhti hai !



Meri kamjoriyon par jab koi tankeed karta hai,

O dusman kyon na ho usse muhabbat aur badhti hai !



Zaroorat me azizon ke agar kuchh kaam aajao,

Rakam bhi doob jati hai sood aur badhati hai !



Tera masoom as chehra chhupalun aankh me kaatil,

Nazar mujhko na tu aaye to dhadkan aur badhti hai !



Agar bikane pe a jao to ghat jate hain daam aksar,

Na bikane ka irada ho to keemat aur badhti hai !

~~~MAYANK][COMPANY~~~

No comments: