Kya batayen kya badha duniya me kya kam ho gaya,
Khaofe-insaa badh gaya khaofe-khuda kam ho gaya !
Sochnewale to pahle bhi bahut kam the magar,
Sochne walon ka bhi ab sochna kam ho gaya !
Ab to har pal zindagi ke sar pe mandarati hai maut,
Maut se ab zindagi ka fasla kam ho gaya !
Pahle tha sara jahan ghar ,ab hai bas ghar tak jahan,
Rafta rafta sabke dil ka dayara kam ho gaya !
Din ba din badhta gaya saitan har insan me,
Din ba din har aadmi me devta kam ho gaya !
Ishk ke charche to hote hain yahan ab bhi magar,
Ishk ke charchon me ab zikre-wafa kam ho gaya !
Zindagi ki zustaju to ab bhi jari hai magar,
Badh gayee hai naummeedi hausala kam ho gaya !!
~~~MAYANK][COMPANY~~~
No comments:
Post a Comment